Tum ko fursat ho meri jaan toh idhar dekh toh lo, Chaar aankhen na karo ek nazar dekh toh lo.. Baat karne ke liye kaun tumhen kehta hai, Na karo hum se koi baat magar dekh toh lo.. Apne beemaar-e-mohabat ki tasalli ke liye, Haal-e-dil poochh toh lo, zakhm-e-jigar dekh toh lo.. Dil-e-barbaad ko aabaad karo ya na karo, Kam se kam tum mera ujda hua ghar dekh toh lo ...!!
 3205
5  

Yeh jawani gulaab ho jaaye, Muyassar agar sharab ho jaaye, Isi madhosh halat mein farishto, Aao phir aaj ek-ek jam ho jaaye.
 255
0  

Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota, Sharaab kam thi to paani mila diya hota. Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura kar sar hi hila diya hota.
 802
1  

Ho chuki mulakaat abhi salaam baaki hai Tumhare naam ki do ghoont sharaab baki hai Tumko mubarak ho khushiyoon ka shamyaana Mere naseeb me abhi do gaz zameen baki hai…
 1033
2  

Gham tum laate ho zindagi mein humaare, wo zakhm aane he nahi deti, khushi ko to ek pal mein bikher dete ho tum humaari, wo to khushi ko jaane he nahi deti, hosh mein laa-laa kar tum hosh udaati ho humaare, wo sharaab to hosh mein aane he nahi deti…
 2396
3